main sar-e-dar muskuraati rahi
maiñ sar-e-dār muskurātī rahī
zindagānī sazā baḌhātī rahī
sabr ko mere be-hisī jaanā
hausle aur āzmātī rahī
ābla-pā.ī se huā sairāb
phuul sahrā meñ maiñ khilātī rahī
dil kī tīra-shabī miTāne ko
zaḳhm siine ke maiñ jalātī rahī
ḳhud kā shāyad kabhī guzar ho yahāñ
ḳhaar raste se maiñ haTātī rahī
maiñ jo tanhā.iyoñ se Dartī thī
ik bayābāñ meñ ghar banātī rahī
main sar-e-dar muskuraati rahi
zindagani saza baDhati rahi
sabr ko mere be-hisi jaana
hausle aur aazmati rahi
aabla-pai se hua sairab
phul sahra mein main khilati rahi
dil ki tira-shabi miTane ko
zaKHm sine ke main jalati rahi
KHud ka shayad kabhi guzar ho yahan
KHar raste se main haTati rahi
main jo tanhaiyon se Darti thi
ek bayaban mein ghar banati rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.