main shad tanha ek taraf duniya ki duniya ek taraf
maiñ 'shād' tanhā ik taraf duniyā kī duniyā ik taraf
saarā samundar ik taraf aañsū kā qatra ik taraf
us āfat-e-jāñ ko bhī chehra to dikhānā hī na thā
ik samt iisā dam-ba-ḳhud ġhash meñ hai muusā ik taraf
apne samand-e-nāz ko ai shahsavār aa chheḌ kar
saf-basta hāzir kab se haiñ mahv-e-tamāshā ik taraf
saaqī baġhair ahvāl ye pahuñchā hai mai-ḳhāne kā ab
jaam ik taraf hai sar-nigūñ ḳhālī hai miinā ik taraf
furqat meñ sab achchhe rahe dil kā magar ye haal hai
zaḳhm ik taraf baḌhtā gayā dāġh-e-suvaidā ik taraf
dīdār-e-jānāñ kā bhalā kyuuñ kar tahammul ho sake
tirchhī nigāheñ ek sū zulf-e-chalīpā ik taraf
vo teġh le ke kahte haiñ dekhūñ to haq par kaun hai
maiñ ik taraf 'shād' ik taraf saarā zamāna ik taraf
main 'shad' tanha ek taraf duniya ki duniya ek taraf
sara samundar ek taraf aansu ka qatra ek taraf
us aafat-e-jaan ko bhi chehra to dikhana hi na tha
ek samt isa dam-ba-KHud ghash mein hai musa ek taraf
apne samand-e-naz ko ai shahsawar aa chheD kar
saf-basta hazir kab se hain mahw-e-tamasha ek taraf
saqi baghair ahwal ye pahuncha hai mai-KHane ka ab
jam ek taraf hai sar-nigun KHali hai mina ek taraf
furqat mein sab achchhe rahe dil ka magar ye haal hai
zaKHm ek taraf baDhta gaya dagh-e-suwaida ek taraf
didar-e-jaanan ka bhala kyun kar tahammul ho sake
tirchhi nigahen ek su zulf-e-chalipa ek taraf
wo tegh le ke kahte hain dekhun to haq par kaun hai
main ek taraf 'shad' ek taraf sara zamana ek taraf
- Book : Dewan-e-shad Azimabadi (Pg. 203)
- Author : Shad Azimabadi
- Publication : Educational Publishing House (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.