main shaKH shaKH pe mahka kiran kiran mein raha
maiñ shāḳh shāḳh pe mahkā kiran kiran meñ rahā
ki ruuh ban ke rahā maiñ jis anjuman meñ rahā
asīr-e-kashmakash-e-daur-e-pur-mehan meñ rahā
vo āftāb huuñ jo muddatoñ gahan meñ rahā
ḳhulūs-e-ishq kī mahrūmiyāñ ma.āz-allāh
maiñ umr bhar tahī-dāman bhare chaman meñ rahā
nigāh mahv-e-tamāshā laboñ pe mohar-e-sukūt
maiñ aa.ine kī tarah terī anjuman meñ rahā
kisī se ahd-e-mohabbat pe jab bhī ġhaur kiyā
ik irti.āsh sā pahroñ mire badan meñ rahā
tire baġhair kahīñ bhī to jī bahal na sakā
maiñ chain se kabhī ghar meñ rahā na ban meñ rahā
muhīb itnā ki vo jalva barq-e-tūr banā
latīf itnā ki phūloñ ke pairahan meñ rahā
zabāñ salīs bayāñ dil-navāz fikr jamīl
ye ehtimām hamesha mire suḳhan meñ rahā
vo dostoñ ke azā.em se 'zabt' kyā bachtā
jo dushmanoñ kī taraf se bhī husn-e-zan meñ rahā
main shaKH shaKH pe mahka kiran kiran mein raha
ki ruh ban ke raha main jis anjuman mein raha
asir-e-kashmakash-e-daur-e-pur-mehan mein raha
wo aaftab hun jo muddaton gahan mein raha
KHulus-e-ishq ki mahrumiyan maaz-allah
main umr bhar tahi-daman bhare chaman mein raha
nigah mahw-e-tamasha labon pe mohar-e-sukut
main aaine ki tarah teri anjuman mein raha
kisi se ahd-e-mohabbat pe jab bhi ghaur kiya
ek irtiash sa pahron mere badan mein raha
tere baghair kahin bhi to ji bahal na saka
main chain se kabhi ghar mein raha na ban mein raha
muhib itna ki wo jalwa barq-e-tur bana
latif itna ki phulon ke pairahan mein raha
zaban salis bayan dil-nawaz fikr jamil
ye ehtimam hamesha mere suKHan mein raha
wo doston ke azaem se 'zabt' kya bachta
jo dushmanon ki taraf se bhi husn-e-zan mein raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.