main shab-e-hijr kya karun tanha
maiñ shab-e-hijr kyā karūñ tanhā
yaad meñ terī gum rahūñ tanhā
haiñ idhar gardisheñ zamāne kī
hai muqābil udhar junūñ tanhā
kitne be-nūr haiñ ye hañgāme
maiñ bhare shahr meñ bhī huuñ tanhā
aadmī ghir gayā masā.il meñ
rah ga.ī ziist be-sukūñ tanhā
vo to is daur ke nahīñ insāñ
mil gayā hai jinheñ sukūñ tanhā
ham-safar jab 'niyāz' añdhere haiñ
sham.a ghabrā rahī hai kyuuñ tanhā
main shab-e-hijr kya karun tanha
yaad mein teri gum rahun tanha
hain idhar gardishen zamane ki
hai muqabil udhar junun tanha
kitne be-nur hain ye hangame
main bhare shahr mein bhi hun tanha
aadmi ghir gaya masail mein
rah gai zist be-sukun tanha
wo to is daur ke nahin insan
mil gaya hai jinhen sukun tanha
ham-safar jab 'niyaz' andhere hain
shama ghabra rahi hai kyun tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.