main tahi-dast mohabbat mein bhala kya deta
maiñ tahī-dast mohabbat meñ bhalā kyā detā
tere hisse se magar tujh ko ziyāda detā
zindagī tū ne baḌī der lagā dī varna
maiñ tujhe miltā tire gaal pe bosa detā
ba.az auqāt agar sher na hotā mujh se
us kī āñkhoñ kā ishāra mujhe misra detā
maiñ zamāne ko banātā to zamāne bhar ko
terī āñkheñ tirā chehra tirā lahja detā
tū Thahartā to koī hal bhī nikal saktā thā
saath chaltā na tire mashvara achchhā detā
tum ko lālach thī ḳhazāne kī so nākām hue
mujh se kahte to maiñ us ġhaar kā naqsha detā
itnā ḳhush thā vo bichhaḌte hue mujh se varna
paañv paḌtā maiñ use roktā samjhā detā
piiTh pīchhe se agar vaar na kartā 'sāhir'
apne dushman ke janāze ko maiñ kandhā detā
main tahi-dast mohabbat mein bhala kya deta
tere hisse se magar tujh ko ziyaada deta
zindagi tu ne baDi der laga di warna
main tujhe milta tere gal pe bosa deta
baz auqat agar sher na hota mujh se
us ki aankhon ka ishaara mujhe misra deta
main zamane ko banata to zamane bhar ko
teri aankhen tera chehra tera lahja deta
tu Thaharta to koi hal bhi nikal sakta tha
sath chalta na tere mashwara achchha deta
tum ko lalach thi KHazane ki so nakaam hue
mujh se kahte to main us ghaar ka naqsha deta
itna KHush tha wo bichhaDte hue mujh se warna
panw paDta main use rokta samjha deta
piTh pichhe se agar war na karta 'sahir'
apne dushman ke janaze ko main kandha deta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.