main taKHayyul ki salibon pe jo maslub hua
maiñ taḳhayyul kī salīboñ pe jo maslūb huā
phir kahīñ jā ke zarā sāhib-e-uslūb huā
jur.a-e-ashk piyā mast huā raqs kiyā
aisā kaḌvā na mirī jaañ koī mashrūb huā
tere harjā.ī-pane kā ye huā radd-e-amal
mujhe mahbūb milā hai na tujhe ḳhuub huā
bar-sar-e-tūr bhī tū ne ye tahayyur bāñTā
diid kī jot jagā.ī vahīñ mahjūb huā
lazzat-e-vasl meñ niklā huuñ bayābānoñ kī samt
log pāgal haiñ mujhe kahte haiñ majzūb huā
ek arzī pe mujhe des-nikālā kī naved
itnī ujlat se to iblīs na ma.atūb huā
nik.hat-e-vasl se lauT aatī hai āñkhoñ kī chamak
vaise raushan to nahīñ dīda-e-yāqūb huā
main taKHayyul ki salibon pe jo maslub hua
phir kahin ja ke zara sahib-e-uslub hua
jura-e-ashk piya mast hua raqs kiya
aisa kaDwa na meri jaan koi mashrub hua
tere harjai-pane ka ye hua radd-e-amal
mujhe mahbub mila hai na tujhe KHub hua
bar-sar-e-tur bhi tu ne ye tahayyur banTa
did ki jot jagai wahin mahjub hua
lazzat-e-wasl mein nikla hun bayabanon ki samt
log pagal hain mujhe kahte hain majzub hua
ek arzi pe mujhe des-nikala ki nawed
itni ujlat se to iblis na matub hua
nikhat-e-wasl se lauT aati hai aankhon ki chamak
waise raushan to nahin dida-e-yaqub hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.