main tere sath chal nahin sakta
maiñ tere saath chal nahīñ saktā
tū ravayya badal nahīñ saktā
aa.e darvesh gar jalālī meñ
phir ye sūraj nikal nahīñ saktā
raaz miTTī meñ hai koī shāyad
dhuup meñ peḌ jal nahīñ sakta
das ko paale hai baap tanhā hī
das se kyoñ baap pal nahīñ saktā
jis meñ shāmil ho suud kī lazzat
maiñ vo luqma nigal nahīñ saktā
tere aañsū fuzūl haiñ 'tāriq'
ab ye patthar pighal nahīñ saktā
main tere sath chal nahin sakta
tu rawayya badal nahin sakta
aae darwesh gar jalali mein
phir ye suraj nikal nahin sakta
raaz miTTi mein hai koi shayad
dhup mein peD jal nahin sakta
das ko pale hai bap tanha hi
das se kyon bap pal nahin sakta
jis mein shamil ho sud ki lazzat
main wo luqma nigal nahin sakta
tere aansu fuzul hain 'tariq'
ab ye patthar pighal nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.