main tere zulm dikhata hun apna matam karne ke liye
maiñ tere zulm dikhātā huuñ apnā mātam karne ke liye
mirī āñkhoñ meñ aañsū aa.e tirī āñkheñ nam karne ke liye
miTTī se huā mansūb magar ātish-ḳhāna sā jaltā huuñ
ka.ī sūraj mujh meñ Duub ga.e mirā saaya kam karne ke liye
vo yaad ke sāhil par saare motī bikhrā.e baiThī thī
ik lahar lahū meñ uTThī thī mujhe tāza-dam karne ke liye
aaj apne zahr se kaaT diyā sab zañg purāne lafzoñ kā
ā.inda ke andeshoñ kī tārīḳh raqam karne ke liye
mumkin hai ki ab bhī hoñToñ par koī bhūlā bisrā sho'la ho
maiñ jalte jalte raakh huā lahja maddham karne ke liye
main tere zulm dikhata hun apna matam karne ke liye
meri aankhon mein aansu aae teri aankhen nam karne ke liye
miTTi se hua mansub magar aatish-KHana sa jalta hun
kai suraj mujh mein Dub gae mera saya kam karne ke liye
wo yaad ke sahil par sare moti bikhrae baiThi thi
ek lahar lahu mein uTThi thi mujhe taza-dam karne ke liye
aaj apne zahr se kaT diya sab zang purane lafzon ka
aainda ke andeshon ki tariKH raqam karne ke liye
mumkin hai ki ab bhi honTon par koi bhula bisra sho'la ho
main jalte jalte rakh hua lahja maddham karne ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.