main teri aankh mein rah kar hijab ho jaun
maiñ terī aañkh meñ rah kar hijāb ho jā.ūñ
tū harf harf paḌhe vo kitāb ho jā.ūñ
mire sivā kabhī tujh ko lubhā sake na koī
maiñ tere vāste vo intiḳhāb ho jā.ūñ
tū āsmān kī vus.at meñ le ke jaa.e mujhe
maiñ tujh pe faḳhr karūñ āftāb ho jā.ūñ
tū buuñd buuñd se lazzat kashīd kartā rahe
magar na pyaas bujhe vo sharāb ho jā.ūñ
vo apnī narm sī poroñ se gar chhue mujh ko
mahak mahak uThūñ misl-e-gulāb ho jā.ūñ
tumhārī yaad meñ chhoḌūñ na mai-kashī 'tāhir'
mujhe hai jitnā bhī honā ḳharāb ho jā.ūñ
main teri aankh mein rah kar hijab ho jaun
tu harf harf paDhe wo kitab ho jaun
mere siwa kabhi tujh ko lubha sake na koi
main tere waste wo intiKHab ho jaun
tu aasman ki wusat mein le ke jae mujhe
main tujh pe faKHr karun aaftab ho jaun
tu bund bund se lazzat kashid karta rahe
magar na pyas bujhe wo sharab ho jaun
wo apni narm si poron se gar chhue mujh ko
mahak mahak uThun misl-e-gulab ho jaun
tumhaari yaad mein chhoDun na mai-kashi 'tahir'
mujhe hai jitna bhi hona KHarab ho jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.