Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main teri aankh mein rah kar hijab ho jaun

Tahir Hanfi

main teri aankh mein rah kar hijab ho jaun

Tahir Hanfi

maiñ terī aañkh meñ rah kar hijāb ho jā.ūñ

harf harf paḌhe vo kitāb ho jā.ūñ

mire sivā kabhī tujh ko lubhā sake na koī

maiñ tere vāste vo intiḳhāb ho jā.ūñ

āsmān vus.at meñ le ke jaa.e mujhe

maiñ tujh pe faḳhr karūñ āftāb ho jā.ūñ

to buuñd buuñd se lazzat kashīd kartā rahe

magar na pyaas bujhe vo sharāb ho jā.ūñ

vo apnī narm poroñ se gar chhue mujh ko

mahak mahak uThūñ misl-e-gulāb ho jā.ūñ

tumhārī yaad meñ chhoḌūñ na mai-kashī 'tāhir'

mujhe hai jitnā bhī honā ḳharāb ho jā.ūñ

main teri aankh mein rah kar hijab ho jaun

tu harf harf paDhe wo kitab ho jaun

mere siwa kabhi tujh ko lubha sake na koi

main tere waste wo intiKHab ho jaun

tu aasman ki wusat mein le ke jae mujhe

main tujh pe faKHr karun aaftab ho jaun

to bund bund se lazzat kashid karta rahe

magar na pyas bujhe wo sharab ho jaun

wo apni narm si poron se gar chhue mujh ko

mahak mahak uThun misl-e-gulab ho jaun

tumhaari yaad mein chhoDun na mai-kashi 'tahir'

mujhe hai jitna bhi hona KHarab ho jaun

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now