main tha dil mein aur tanhai hui
maiñ thā dil meñ aur tanhā.ī huī
aaj kuchh zaḳhmoñ kī bharpā.ī hui
jis kī ḳhātir maiñ jagā thā hijr meñ
vo kahīñ thī ḳhvāb meñ aa.ī hui
maiñ huuñ dīvāna vahī phir baat hai
dard ne hai ruuh bhī khaa.ī hui
tere dāman kī havā hai ḳhuld sī
saañs hai phūloñ ne mahkā.ī huī
kuchh tasavvur ko suno kuchh ishq ko
aur kuchh merī ġhazal gaa.ī huī
zulmatoñ ke band kamre meñ yahāñ
tū mire andarūñ kī bīnā.ī huī
aql ko hai taaq par rakkhā huā
ishq ne hai chaal bahkā.ī huī
be-basoñ kī is adālat meñ 'murād'
aur kuchh ashkoñ kī sunvā.ī huī
main tha dil mein aur tanhai hui
aaj kuchh zaKHmon ki bharpai hui
jis ki KHatir main jaga tha hijr mein
wo kahin thi KHwab mein aai hui
main hun diwana wahi phir baat hai
dard ne hai ruh bhi khai hui
tere daman ki hawa hai KHuld si
sans hai phulon ne mahkai hui
kuchh tasawwur ko suno kuchh ishq ko
aur kuchh meri ghazal gai hui
zulmaton ke band kamre mein yahan
tu mere andarun ki binai hui
aql ko hai taq par rakkha hua
ishq ne hai chaal bahkai hui
be-bason ki is adalat mein 'murad'
aur kuchh ashkon ki sunwai hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.