main tha ek sham-e-sozan raat bhar uTTha dhuan mujhse
main tha ek sham-e-sozan raat bhar uTTha dhuan mujhse
Ahsan Ahmad Ashk
MORE BYAhsan Ahmad Ashk
maiñ thā ik sham-e-sozāñ raat bhar uTThā dhuāñ mujh se
sunī duniyā ne sau sau tarah dil kī dāstāñ mujh se
Dubo dī ābrū-e-soz-e-pinhāñ tū ne āñkhoñ kī
shikāyat kar rahe haiñ qatra-hā-e-rā.egāñ mujh se
rafīq-e-kārvān-e-nig.hat-e-gul hai mirī vahshat
na aage baḌh sakegī tū nigāh-e-bāġhbāñ mujh se
mujhe niiñd aa ga.ī thī raah kī ThanDī havāoñ meñ
maiñ ik vāmāñda huuñ pūchho hadīs-e-kārvāñ mujh se
mire dil kī tamanna turra-e-dastār-e-gulchīñ ho
aur us par ye qayāmat daad māñge bāġhbāñ mujh se
sarāpā mātam-e-nazzāra hai āñkhoñ kī māyūsī
ki parda uTh chukā hai aur jalve haiñ nihāñ mujh se
main tha ek sham-e-sozan raat bhar uTTha dhuan mujh se
suni duniya ne sau sau tarah dil ki dastan mujh se
Dubo di aabru-e-soz-e-pinhan tu ne aankhon ki
shikayat kar rahe hain qatra-ha-e-raegan mujh se
rafiq-e-karwan-e-nighat-e-gul hai meri wahshat
na aage baDh sakegi tu nigah-e-baghban mujh se
mujhe nind aa gai thi rah ki ThanDi hawaon mein
main ek wamanda hun puchho hadis-e-karwan mujh se
mere dil ki tamanna turra-e-dastar-e-gulchin ho
aur us par ye qayamat dad mange baghban mujh se
sarapa matam-e-nazzara hai aankhon ki mayusi
ki parda uTh chuka hai aur jalwe hain nihan mujh se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.