main teri manta lekin jo mera dil hai na
maiñ tirī māntā lekin jo mirā dil hai nā
dar kā patthar hai haTānā ise mushkil hai nā
ye tirā husn kuchh aisā nahīñ pūjeñ jis ko
lekin ai yaar tire gaal kā jo til hai nā
jo mire vāste din raat duā karte haiñ
dushman-e-jāñ ye batā un meñ tū shāmil hai nā
māñgnā aatā nahīñ aur ḳhudā kahtā hai
ai farishto ise dekho ye jo saa.il hai nā
zindagī ishq meñ guzre to qasīda likkhūñ
ki vahī ek qasīda tire qābil hai nā
main teri manta lekin jo mera dil hai na
dar ka patthar hai haTana ise mushkil hai na
ye tera husn kuchh aisa nahin pujen jis ko
lekin ai yar tere gal ka jo til hai na
jo mere waste din raat dua karte hain
dushman-e-jaan ye bata un mein tu shamil hai na
mangna aata nahin aur KHuda kahta hai
ai farishto ise dekho ye jo sail hai na
zindagi ishq mein guzre to qasida likkhun
ki wahi ek qasida tere qabil hai na
- Book : Aankh Bhar Tamasha Hai (Pg. 54)
- Author : Ahmad Ata
- Publication : Sanjh Publications (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.