main to fida-e-nargis-e-mastana ho gaya
maiñ to fidā-e-nargis-e-mastāna ho gayā
paimāna se dil ab mirā mai-ḳhāna ho gayā
har rañg meñ mujhe hai ma.e mushk-bū kā rañg
jo zarf haath aa gayā paimāna ho gayā
kuchh maḳhmasāt-e-dahr the dīvāngī se kam
achchhā huā ki ishq meñ dīvāna ho gayā
dil chāhiye gudāz nahīñ zor-o-zar se kaam
apnī misāl ishq meñ parvāna ho gayā
hotā na bāġh-e-dil kabhī shāhān-e-iltifāt
achchhā huā bahār meñ vīrāna ho gayā
dānā.ī zer-e-dām hai ai murġh-e-dil abas
maanā ki daana khā ke tū ab daanā ho gayā
'beḳhud' to nā-rasā.ī zulf-e-butāñ na pūchh
qismat pe merī ḳhanda-zan ab shāna ho gayā
main to fida-e-nargis-e-mastana ho gaya
paimana se dil ab mera mai-KHana ho gaya
har rang mein mujhe hai mae mushk-bu ka rang
jo zarf hath aa gaya paimana ho gaya
kuchh maKHmasat-e-dahr the diwangi se kam
achchha hua ki ishq mein diwana ho gaya
dil chahiye gudaz nahin zor-o-zar se kaam
apni misal ishq mein parwana ho gaya
hota na bagh-e-dil kabhi shahan-e-iltifat
achchha hua bahaar mein virana ho gaya
danai zer-e-dam hai ai murgh-e-dil abas
mana ki dana kha ke tu ab dana ho gaya
'beKHud' to na-rasai zulf-e-butan na puchh
qismat pe meri KHanda-zan ab shana ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.