main to is baat pe tayyar nahin ho sakta
maiñ to is baat pe tayyār nahīñ ho saktā
tujh ko khone kā ravādār nahīñ ho saktā
apne ghar hī meñ dikhānā hai tamāshā-e-junūñ
khel ab ye sar-e-bāzār nahīñ ho saktā
kuchh to socheñ ki na jaane kā bahāna mil jaa.e
vo bulā.egā to inkār nahīñ ho saktā
is kināre se faqat dekhtā rahtā huuñ use
jāntā huuñ ki maiñ us paar nahīñ ho saktā
main to is baat pe tayyar nahin ho sakta
tujh ko khone ka rawadar nahin ho sakta
apne ghar hi mein dikhana hai tamasha-e-junun
khel ab ye sar-e-bazar nahin ho sakta
kuchh to sochen ki na jaane ka bahana mil jae
wo bulaega to inkar nahin ho sakta
is kinare se faqat dekhta rahta hun use
jaanta hun ki main us par nahin ho sakta
- Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 61)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2017)
- Edition : First
- Book : Wahima Vajood Ka (Pg. 50)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.