main to jhonka hun hawaon ka uDa le jaunga
maiñ to jhoñkā huuñ havāoñ kā uḌā le jā.ūñgā
jāgtī rahnā tujhe tujh se churā le jā.ūñgā
ho ke qadmoñ pe nichhāvar phuul ne but se kahā
ḳhaak meñ mil kar bhī maiñ ḳhushbū bachā le jā.ūñgā
kaun sī shai mujh ko pahuñchā.egī tere shahr tak
ye patā to tab chalegā jab patā le jā.ūñgā
koshisheñ mujh ko miTāne kī bhale hoñ kāmyāb
miTte miTte bhī maiñ miTne kā maza le jā.ūñgā
shohrateñ, jin kī vaj.h se dost dushman ho ga.e
sab yahīñ rah jā.eñgī maiñ saath kyā le jā.ūñgā
main to jhonka hun hawaon ka uDa le jaunga
jagti rahna tujhe tujh se chura le jaunga
ho ke qadmon pe nichhawar phul ne but se kaha
KHak mein mil kar bhi main KHushbu bacha le jaunga
kaun si shai mujh ko pahunchaegi tere shahr tak
ye pata to tab chalega jab pata le jaunga
koshishen mujh ko miTane ki bhale hon kaamyab
miTte miTte bhi main miTne ka maza le jaunga
shohraten, jin ki wajh se dost dushman ho gae
sab yahin rah jaengi main sath kya le jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.