main to KHud ko bhi mayassar nahin hota yaksar
main to KHud ko bhi mayassar nahin hota yaksar
Mukarram Husain Awan Zamzam
MORE BYMukarram Husain Awan Zamzam
maiñ to ḳhud ko bhī mayassar nahīñ hotā yaksar
ya.anī maiñ apne barābar nahīñ hotā yaksar
ye nahīñ hai ki palaT aatā huuñ maiñ manzil se
sar-e-dīvār koī dar nahīñ hotā yaksar
terī yādoñ ke sitāre haiñ chamakte Tim Tim
jab falak par koī aḳhtar nahīñ hotā yaksar
tujh se ābād ho is dil kā nagar aa bhī jā
ye makāñ tere binā ghar nahīñ hotā yaksar
dasht-e-rusvā.ī hī bantā hai muqaddar us kā
ishq jis jis kā bhī rahbar nahīñ hotā yaksar
main to KHud ko bhi mayassar nahin hota yaksar
yani main apne barabar nahin hota yaksar
ye nahin hai ki palaT aata hun main manzil se
sar-e-diwar koi dar nahin hota yaksar
teri yaadon ke sitare hain chamakte Tim Tim
jab falak par koi aKHtar nahin hota yaksar
tujh se aabaad ho is dil ka nagar aa bhi ja
ye makan tere bina ghar nahin hota yaksar
dasht-e-ruswai hi banta hai muqaddar us ka
ishq jis jis ka bhi rahbar nahin hota yaksar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.