main to samjha tha mera kirdar hi mara gaya
maiñ to samjhā thā mirā kirdār hī maarā gayā
is kahānī meñ kahānī-kār hī maarā gayā
dushmanī karne kā phir kyā fā.eda hai tū batā
maiñ tire hāthoñ agar be-kār hī maarā gayā
maiñ ḳhayāl-e-yār kī sochoñ ko sochūñ kis tarah
maiñ ḳhayāl-e-yār meñ sau baar hī maarā gayā
phir mohabbat ho ga.ī ham ko tumhārī yaad se
phir dil-e-bismil dil-e-bīmār hī maarā gayā
ab to jiine kī koī sūrat nahīñ aatī nazar
ab to marne do ki merā yaar hī maarā gayā
ham pe aisā hādisa guzrā mohabbat meñ 'vaqās'
ham rahe zinda hamārā pyaar hī maarā gayā
main to samjha tha mera kirdar hi mara gaya
is kahani mein kahani-kar hi mara gaya
dushmani karne ka phir kya faeda hai tu bata
main tere hathon agar be-kar hi mara gaya
main KHayal-e-yar ki sochon ko sochun kis tarah
main KHayal-e-yar mein sau bar hi mara gaya
phir mohabbat ho gai hum ko tumhaari yaad se
phir dil-e-bismil dil-e-bimar hi mara gaya
ab to jine ki koi surat nahin aati nazar
ab to marne do ki mera yar hi mara gaya
hum pe aisa hadisa guzra mohabbat mein 'waqas'
hum rahe zinda hamara pyar hi mara gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.