main tujhse apni rafaqaton ka hisab likkhun
maiñ tujh se apnī rafāqatoñ kā hisāb likkhūñ
to āñkhoñ āñkhoñ hasīn rañgoñ ke ḳhvāb likkhūñ
bichhaḌ ke tujh se tujhī ko sochoñ tujhī ko chāhūñ
ki naam tere hī apne dil kī kitāb likkhūñ
na kuchh samajh meñ jo aa.e dil kī to ro paḌūñ maiñ
ki hijr meñ ye guzarte lamhe azaab likkhūñ
ye merī ḳhāna-ḳharābiyoñ pe savāl uTThe
chale bhī aao ki dahr ko maiñ javāb likkhūñ
hayāt apnī to ḳhushk pattī se ḳhushk-tar hai
kabhī to yuuñ hogā zindagī kāmyāb likkhūñ
udaas chehre pe yuuñ chamaktī hoñ merī āñkheñ
kabhī tabassum ke naam rañg-e-gulāb likkhūñ
main tujh se apni rafaqaton ka hisab likkhun
to aankhon aankhon hasin rangon ke KHwab likkhun
bichhaD ke tujh se tujhi ko sochon tujhi ko chahun
ki nam tere hi apne dil ki kitab likkhun
na kuchh samajh mein jo aae dil ki to ro paDun main
ki hijr mein ye guzarte lamhe azab likkhun
ye meri KHana-KHarabiyon pe sawal uTThe
chale bhi aao ki dahr ko main jawab likkhun
hayat apni to KHushk patti se KHushk-tar hai
kabhi to yun hoga zindagi kaamyab likkhun
udas chehre pe yun chamakti hon meri aankhen
kabhi tabassum ke nam rang-e-gulab likkhun
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.