main tumko jo mil jati yun rab ne kya hota
maiñ tum ko jo mil jaatī yuuñ rab ne kyā hotā
tum mujh ko jo mil jaate kyā us kā gayā hotā
zaḳhmoñ ko mire dil ke kuchh aise siyā hotā
''va.ada na vafā karte va.ada to kiyā hotā''
Thokar to maiñ khātī par girtī na kabhī lekin
patthar sā kabhī tū jo raste meñ paḌā hotā
ham bhaa.ī to haiñ lekin ghar donoñ ke chhoTe haiñ
ik ghar meñ hī rah lete jo thoḌā baḌā hotā
gul un pe khile the jo murjhā ga.e vo saare
ik peḌ hī vaadī meñ ai kaash harā hotā
ik moḌ pe milnā thā ham donoñ ko āḳhir to
kyā terā bigaḌ jaatā va.ada jo vafā hotā
kyoñ mujh se bichhaḌne kī jaldī thī tumheñ itnī
tum dil meñ rahe hote dil ġham se rihā hotā
jin hoñToñ se khiltī thiiñ kaliyāñ ka.ī lafzoñ kī
in hoñToñ kī jumbish se ik naam liyā hotā
maiñ girne hī kyoñ paatī kyoñ daldal meñ masā.ib kī
jo aa ke kabhī mujh ko bas thaam liyā hotā
maiñ lauT ke aa.ī to ghar kā vahī āñgan thā
hasrat hī rahī dil meñ kuchh ghar meñ nayā hotā
main tum ko jo mil jati yun rab ne kya hota
tum mujh ko jo mil jate kya us ka gaya hota
zaKHmon ko mere dil ke kuchh aise siya hota
wada na wafa karte wada to kiya hota
Thokar to main khati par girti na kabhi lekin
patthar sa kabhi tu jo raste mein paDa hota
hum bhai to hain lekin ghar donon ke chhoTe hain
ek ghar mein hi rah lete jo thoDa baDa hota
gul un pe khile the jo murjha gae wo sare
ek peD hi wadi mein ai kash hara hota
ek moD pe milna tha hum donon ko aaKHir to
kya tera bigaD jata wada jo wafa hota
kyon mujh se bichhaDne ki jaldi thi tumhein itni
tum dil mein rahe hote dil gham se riha hota
jin honTon se khilti thin kaliyan kai lafzon ki
in honTon ki jumbish se ek nam liya hota
main girne hi kyon pati kyon daldal mein masaib ki
jo aa ke kabhi mujh ko bas tham liya hota
main lauT ke aai to ghar ka wahi aangan tha
hasrat hi rahi dil mein kuchh ghar mein naya hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.