main tumko soch raha hun magar udas nahin
maiñ tum ko soch rahā huuñ magar udaas nahīñ
tū ābshār-e-sukūñ hai badan kī pyaas nahīñ
binā chhue hī mire ḳhvāb chuum letā ho
bahut qarīb ho hālāñki mere paas nahīñ
ḳhizāñ kī rut meñ bhī ḳhushbū sambhāl rakkhī hai
maiñ tum se duur huā huuñ magar udaas nahīñ
qarīb aan ke baiTho magar gale na lago
davā jo dil ke liye hai badan ko raas nahīñ
rañgoñ meñ ḳhuun kī mānind hai ravāñ mujh meñ
tū andarūn-e-badan hai mirā libās nahīñ
qarār-e-tarq-e-ta.alluq thā so nibhāyā bhī
sharāb chhoḌ dī maiñ ne magar gilās nahīñ
main tum ko soch raha hun magar udas nahin
tu aabshaar-e-sukun hai badan ki pyas nahin
bina chhue hi mere KHwab chum leta ho
bahut qarib ho haalanki mere pas nahin
KHizan ki rut mein bhi KHushbu sambhaal rakkhi hai
main tum se dur hua hun magar udas nahin
qarib aan ke baiTho magar gale na lago
dawa jo dil ke liye hai badan ko ras nahin
rangon mein KHun ki manind hai rawan mujh mein
tu andarun-e-badan hai mera libas nahin
qarar-e-tarq-e-talluq tha so nibhaya bhi
sharab chhoD di main ne magar gilas nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.