main tumhaara raha raat bhar
maiñ tumhārā rahā raat bhar
kasmasātā rahā raat bhar
tum ne dil ko jalāyā bahut
maiñ bujhātā rahā raat bhar
zaḳhm ubhre the tan par magar
maiñ chhupātā rahā raat bhar
jis ke aane kī ummīd thī
vo satātā rahā raat bhar
bas tumheñ bhūlne ke liye
ḳhat jalātā rahā raat bhar
tum se milnā bahut hai kaThin
so bhulātā rahā raat bhar
ḳhair-maqdam ko tere diyā
jagmagātā rahā raat bhar
ashk paanī nahīñ the magar
maiñ bahātā rahā raat bhar
dil meñ thā ek pakshī tirā
chhaTpaTātā rahā raat bhar
vo mujhe chāhtā thā bahut
maiñ banātā rahā raat bhar
maiñ hī huuñ terā ik ham-safar
ye jatātā rahā raat bhar
bas tujhe dekhne ke liye
kasmasātā rahā raat bhar
jis pe ham ko bahut thā yaqīñ
vo rulātā rahā raat bhar
ye to 'ādarsh' bhī nā huā
kaun aatā rahā raat bhar
main tumhaara raha raat bhar
kasmasata raha raat bhar
tum ne dil ko jalaya bahut
main bujhata raha raat bhar
zaKHm ubhre the tan par magar
main chhupata raha raat bhar
jis ke aane ki ummid thi
wo satata raha raat bhar
bas tumhein bhulne ke liye
KHat jalata raha raat bhar
tum se milna bahut hai kaThin
so bhulata raha raat bhar
KHair-maqdam ko tere diya
jagmagata raha raat bhar
ashk pani nahin the magar
main bahata raha raat bhar
dil mein tha ek pakshi tera
chhaTpaTata raha raat bhar
wo mujhe chahta tha bahut
main banata raha raat bhar
main hi hun tera ek ham-safar
ye jatata raha raat bhar
bas tujhe dekhne ke liye
kasmasata raha raat bhar
jis pe hum ko bahut tha yaqin
wo rulata raha raat bhar
ye to 'adarsh' bhi na hua
kaun aata raha raat bhar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.