main TuT kar use chahun ye iKHtiyar bhi ho
maiñ TuuT kar use chāhūñ ye iḳhtiyār bhī ho
sameT legā mujhe is kā e'tibār bhī ho
na.ī rutoñ meñ vo kuchh aur bhī qarīb aa.e
ga.ī rutoñ kā sulagtā sā intizār bhī ho
maiñ us ke saath ko har lamha mo'tabar jānūñ
vo ham-safar hai to mujh sā hī be-dayār bhī ho
mire ḳhulūs kā andāz ye bhī sachchā hai
rakhkhūñ na rabt magar dostī shumār bhī ho
safar pe niklūñ to rasm-e-safar badal jaa.e
kināra baḌh ke kabhī ḳhud hī ham-kanār bhī ho
main TuT kar use chahun ye iKHtiyar bhi ho
sameT lega mujhe is ka e'tibar bhi ho
nai ruton mein wo kuchh aur bhi qarib aae
gai ruton ka sulagta sa intizar bhi ho
main us ke sath ko har lamha mo'tabar jaanun
wo ham-safar hai to mujh sa hi be-dayar bhi ho
mere KHulus ka andaz ye bhi sachcha hai
rakhkhun na rabt magar dosti shumar bhi ho
safar pe niklun to rasm-e-safar badal jae
kinara baDh ke kabhi KHud hi ham-kanar bhi ho
- Book : Khayaabaan (Pg. 140)
- Author : Hassan Abbas Raza
- Publication : Bazm-e-Khayaabaan-e-adab, Pakistan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.