main udas hun mere mehrban main udas hun
maiñ udaas huuñ mire mehrbāñ maiñ udaas huuñ
tū kahīñ nahīñ hai tū hai kahāñ maiñ udaas huuñ
mirā shahr-e-ḳhvāb to reza reza bikhar chukā
kahīñ kho ga.ī mirī kahkashāñ maiñ udaas huuñ
mujhe apne qadmoñ kī ḳhaak meñ hī panāh de
mere paas kuchh bhī nahīñ hai maañ maiñ udaas huuñ
ye jo jañg hai kisī aur vaqt pe Taal deñ
saf-e-dostāñ saf-e-dushmanāñ maiñ udaas huuñ
tumheñ umr bhar kā hai tajraba koī mashvara
koī mashvara ai shikastagāñ maiñ udaas huuñ
maiñ ajiib huuñ nahīñ muḳhtalif haañ ajiib huuñ
vahāñ saarā shahr hai ḳhush jahāñ maiñ udaas huuñ
main udas hun mere mehrban main udas hun
tu kahin nahin hai tu hai kahan main udas hun
mera shahr-e-KHwab to reza reza bikhar chuka
kahin kho gai meri kahkashan main udas hun
mujhe apne qadmon ki KHak mein hi panah de
mere pas kuchh bhi nahin hai man main udas hun
ye jo jang hai kisi aur waqt pe Tal den
saf-e-dostan saf-e-dushmanan main udas hun
tumhein umr bhar ka hai tajraba koi mashwara
koi mashwara ai shikastagan main udas hun
main ajib hun nahin muKHtalif han ajib hun
wahan sara shahr hai KHush jahan main udas hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.