main ujDa shahr tha tapta tha dasht ke manind
maiñ ujḌā shahr thā taptā thā dasht ke mānind
tirā vajūd ki sairāb kar gayā mujh ko
har aadmī meñ the do chaar aadmī pinhāñ
kisī ko DhūñDne niklā koī milā mujh ko
hai mere dard ko darkār gosht kī ḳhushbū
bahut nahīñ tirī yādoñ kā silsila mujh ko
tirī badan meñ mere ḳhvāb muskurāte haiñ
dikhā kabhī mere ḳhvāboñ kā ā.īna mujh ko
main ujDa shahr tha tapta tha dasht ke manind
tera wajud ki sairab kar gaya mujh ko
har aadmi mein the do chaar aadmi pinhan
kisi ko DhunDne nikla koi mila mujh ko
hai mere dard ko darkar gosht ki KHushbu
bahut nahin teri yaadon ka silsila mujh ko
teri badan mein mere KHwab muskuraate hain
dikha kabhi mere KHwabon ka aaina mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.