main usko DhunDhta hun tere iltifat mein
maiñ us ko DhūñDhtā huuñ tire iltifāt meñ
tārīḳh chhoḌ aa.ī jise somnāt meñ
muTThī meñ apnī aise lakīroñ ko qaid kar
jaise tirā nasīb ho tere hī haat meñ
kaise yaqīn aa.e bhalā us kī baat kā
jis kā mizāj mil na sake baat baat meñ
vo jo fuzūl-ḳharch hai kal nā-shanās bhī
barakat talāsh kartā hai chhe aaTh saat meñ
saudāgaroñ meñ kitnī hī rāteñ guzār kar
qīmat kī nabz Duub ga.ī ek raat meñ
insāñ ne mehr-o-māh ke parde uThā diye
ḳhud ko talāsh kar na sakā kā.enāt meñ
main us ko DhunDhta hun tere iltifat mein
tariKH chhoD aai jise somnat mein
muTThi mein apni aise lakiron ko qaid kar
jaise tera nasib ho tere hi hat mein
kaise yaqin aae bhala us ki baat ka
jis ka mizaj mil na sake baat baat mein
wo jo fuzul-KHarch hai kal na-shanas bhi
barakat talash karta hai chhe aaTh sat mein
saudagaron mein kitni hi raaten guzar kar
qimat ki nabz Dub gai ek raat mein
insan ne mehr-o-mah ke parde uTha diye
KHud ko talash kar na saka kaenat mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.