main us maqam pe hun jis ko la-makan kahiye
maiñ us maqām pe huuñ jis ko lā-makāñ kahiye
zamīñ na kahiye use aur na āsmāñ kahiye
fazā-e-dil na mo'attar ho jis se ai hamdam
na bostāñ use kahiye na gulsitāñ kahiye
visāl-e-yār mayassar na ho to kyā ġham hai
ḳhayāl-e-yār to hai jis ko dil-sitāñ kahiye
rafīq jitne the apne vo uTh ga.e saare
hai kaun bazm meñ ab jis ko rāzdāñ kahiye
chaman meñ rah ke bhī 'qaisar' mujhe nahīñ ma.alūm
bahār kahiye use yā use ḳhizāñ kahiye
main us maqam pe hun jis ko la-makan kahiye
zamin na kahiye use aur na aasman kahiye
faza-e-dil na mo'attar ho jis se ai hamdam
na bostan use kahiye na gulsitan kahiye
visal-e-yar mayassar na ho to kya gham hai
KHayal-e-yar to hai jis ko dil-sitan kahiye
rafiq jitne the apne wo uTh gae sare
hai kaun bazm mein ab jis ko raazdan kahiye
chaman mein rah ke bhi 'qaisar' mujhe nahin malum
bahaar kahiye use ya use KHizan kahiye
- Hadees-e-Dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.