main usulon se baghawat nahin karne wali
maiñ usūloñ se baġhāvat nahīñ karne vaalī
kabhī tauhīn-e-mohabbat nahīñ karne vaalī
mujh ko nazrāna-e-dil pesh na kiije sāhab
har kisī se maiñ mohabbat nahīñ karne vaalī
jo sharāfat kī hadoñ meñ kabhī rahte hī nahīñ
aise logoñ kī maiñ izzat nahīñ karne vaalī
tū ne dil toḌ diyā kar diyā mahrūm-e-vafā
phir bhī maiñ terī shikāyat nahīñ karne vaalī
ḳhūn-e-mazlūm se jo pyaas bujhā.eñ apnī
maiñ kabhī un kī himāyat nahīñ karne vaalī
mere dil ne jise chāhā vahī sab kuchh hai mirā
maiñ mohabbat kī tijārat nahīñ karne vaalī
ai 'anā' merī tabī.at meñ hai shoḳhī lekin
dil-shikan koī sharārat nahīñ karne vaalī
main usulon se baghawat nahin karne wali
kabhi tauhin-e-mohabbat nahin karne wali
mujh ko nazrana-e-dil pesh na kije sahab
har kisi se main mohabbat nahin karne wali
jo sharafat ki hadon mein kabhi rahte hi nahin
aise logon ki main izzat nahin karne wali
tu ne dil toD diya kar diya mahrum-e-wafa
phir bhi main teri shikayat nahin karne wali
KHun-e-mazlum se jo pyas bujhaen apni
main kabhi un ki himayat nahin karne wali
mere dil ne jise chaha wahi sab kuchh hai mera
main mohabbat ki tijarat nahin karne wali
ai 'ana' meri tabiat mein hai shoKHi lekin
dil-shikan koi shararat nahin karne wali
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.