main uTha rakkhun na kuchh in ke liye
maiñ uThā rakkhūñ na kuchh in ke liye
ye hasīñ mil jaa.eñ do din ke liye
vāda-e-fardā ke sachche mil ga.e
ab uThā rakkhūñ maiñ kis din ke liye
kal ke va.ade par na de vo mai-farosh
jis ne toḌe ham se gin gin ke liye
qorma murġh-e-sahar kā vasl meñ
bhej detā huuñ mo.azzin ke liye
ye na kahne ko ho be-gintī diye
maiñ ne bose un ke gin gin ke liye
muñh jhulasne ko ḳhizāñ kā andalīb
āshiyāñ meñ baiThe haiñ tinke liye
mai-kasho vaa.iz mire sar ho gayā
koī tadbīr is paḌhe jin ke liye
ye 'riyāz' un ke bahut the muñh lage
uTh rahā kyā aaj kuchh din ke liye
main uTha rakkhun na kuchh in ke liye
ye hasin mil jaen do din ke liye
wada-e-farda ke sachche mil gae
ab uTha rakkhun main kis din ke liye
kal ke wade par na de wo mai-farosh
jis ne toDe hum se gin gin ke liye
qorma murgh-e-sahar ka wasl mein
bhej deta hun moazzin ke liye
ye na kahne ko ho be-ginti diye
main ne bose un ke gin gin ke liye
munh jhulasne ko KHizan ka andalib
aashiyan mein baiThe hain tinke liye
mai-kasho waiz mere sar ho gaya
koi tadbir is paDhe jin ke liye
ye 'riyaz' un ke bahut the munh lage
uTh raha kya aaj kuchh din ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.