Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main wo be-chaara hun jis se be-kasi manus hai

Shad Lakhnavi

main wo be-chaara hun jis se be-kasi manus hai

Shad Lakhnavi

MORE BYShad Lakhnavi

    maiñ vo be-chāra huuñ jis se be-kasī mānūs hai

    jo hathelī haath meñ hai ik kaf-e-afsos hai

    is qadar ranj-e-siyah-baḳhtī se huuñ zār-o-nahīf

    do-qadam chalnā bhī jis ko ek kaale kos hai

    āsmāñ nān-e-javīñ bhī de to ne'mat jāniye

    pāo-roTī bhī jo haath aa.e samjhe toss hai

    ġhair ke ḳhātir dharā jaatā huuñ maiñ muft-e-ḳhudā

    koī mulzim ho vo but detā mujhī ko dos hai

    'shād' aasā hai use bhī bosa-e-lab havas

    bul-havas bhī ai shakar-lab ek lahlūs hai

    main wo be-chaara hun jis se be-kasi manus hai

    jo hatheli hath mein hai ek kaf-e-afsos hai

    is qadar ranj-e-siyah-baKHti se hun zar-o-nahif

    do-qadam chalna bhi jis ko ek kale kos hai

    aasman nan-e-jawin bhi de to ne'mat jaaniye

    pao-roTi bhi jo hath aae samjhe toss hai

    ghair ke KHatir dhara jata hun main muft-e-KHuda

    koi mulzim ho wo but deta mujhi ko dos hai

    'shad' aasa hai use bhi bosa-e-lab ki hawas

    bul-hawas bhi ai shakar-lab ek hi lahlus hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now