Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main wo nahin raha wo mera dil nahin raha

Hashim Azimabadi

main wo nahin raha wo mera dil nahin raha

Hashim Azimabadi

MORE BYHashim Azimabadi

    maiñ vo nahīñ rahā vo mirā dil nahīñ rahā

    ab maiñ kisī se ishq ke qābil nahīñ rahā

    kal mere ghar se merā musallā uḌā liyā

    mullā bhī e'tibār ke qābil nahīñ rahā

    english agar na aa sakī hindī to siikh

    us shoḳh nigāh meñ jāhil nahīñ rahā

    kavve malhār gaa.eñ ki ullū bhajan sunā.eñ

    jab gulistāñ meñ shor-e-anādil nahīñ rahā

    jaatā zarūr haj ko magar aah kyā karūñ

    bār-e-gunah se chalne ke qābil nahīñ rahā

    sunte haiñ seTh divāla nikal gayā

    jis mil pe un ko naaz thā vo mil nahīñ rahā

    dāḌhī baḌhā.ī ban gayā shā.ir se maulvī

    'hāshim' ab un se ishq ke qābil nahīñ rahā

    main wo nahin raha wo mera dil nahin raha

    ab main kisi se ishq ke qabil nahin raha

    kal mere ghar se mera musalla uDa liya

    mulla bhi e'tibar ke qabil nahin raha

    english agar na aa saki hindi to sikh li

    us shoKH ki nigah mein jahil nahin raha

    kawwe malhaar gaen ki ullu bhajan sunaen

    jab gulistan mein shor-e-anadil nahin raha

    jata zarur haj ko magar aah kya karun

    bar-e-gunah se chalne ke qabil nahin raha

    sunte hain seTh ji ka diwala nikal gaya

    jis mil pe un ko naz tha wo mil nahin raha

    daDhi baDhai ban gaya shair se maulwi

    'hashim' ab un se ishq ke qabil nahin raha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now