maiñ vo sukūt samā.at kā huuñ
har pal kī aahaT suntā huuñ
ḳhud ko dekh ke soch rahā huuñ
vaisā kab huuñ maiñ jaisā huuñ
jalte hue sūraj ke nīche
maiñ apne saa.e meñ khaḌā huuñ
kyā qurbat kyā duurī har-pal
jī bhī rahā huuñ mar bhī rahā huuñ
mujh sā koī ḳhush-fahm na hogā
bed kī shāḳhoñ se phal chāhūñ
umr Dhalī takmīl meñ lekin
jaisā thā ab tak vaisā huuñ
har imkāñ mānind-e-gumāñ hai
dariyā huuñ yā ik sahrā huuñ
hastī ke is ā.īne meñ
tū merā maiñ aks tirā huuñ
ye din-rāt mirā partav haiñ
Duub rahā huuñ ubhar rahā huuñ
main wo sukut samaat ka hun
har pal ki aahaT sunta hun
KHud ko dekh ke soch raha hun
waisa kab hun main jaisa hun
jalte hue suraj ke niche
main apne sae mein khaDa hun
kya qurbat kya duri har-pal
ji bhi raha hun mar bhi raha hun
mujh sa koi KHush-fahm na hoga
bed ki shaKHon se phal chahun
umr Dhali takmil mein lekin
jaisa tha ab tak waisa hun
har imkan manind-e-guman hai
dariya hun ya ek sahra hun
hasti ke is aaine mein
tu mera main aks tera hun
ye din-raat mera partaw hain
Dub raha hun ubhar raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.