main yan baiTha to tum wan uTh gae ai yar kya bais
main yan baiTha to tum wan uTh gae ai yar kya bais
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
MORE BYAbdul Rahman Ehsan Dehlvi
maiñ yaañ baiThā to tum vaañ uTh ga.e ai yaar kyā baa.is
hue be-dil hī apne aap kyuuñ bezār kyā baa.is
ināyat kī nahīñ aglī se ab āsār kyā baa.is
kiye haiñ band tum ne raḳhna-e-dīvār kyā baa.is
kahā maiñ ne mire ghar bhī kabhū aaoge ye bole
maiñ kyuuñ aa.uuñ mujhe kyā vāsta kyā kaar kyā baa.is
niDar lā-taqnatū paḌh kar gunāhoñ se thā maiñ apne
ye vaa.iz kyuuñ Darāte haiñ mujhe ġhaffār kyā baa.is
tumhārī ḳhātir-vātir meñ ai gul-rū ye kyā aayā so
mujhe kyuuñ dekh kar hañste ho tum har baar kyā baa.is
faqat ik diid ko nādīda dil aur diida hai apnā
to ai be-dīd dikhlātā nahīñ dīdār kyā baa.is
pas-e-murdan mirī bālīñ pe ro kar ye lage kahne
tū kyuuñ chupkā paḌā hai āshiq-e-bīmār kyā baa.is
saḳhī se som behtar hai javāb saaf jo deve
kabhī inkār kyā maujib kabhī iqrār kyā baa.is
bigāḌ us ā.ina-rū se nahīñ gar aap kā 'ehsāñ'
banī hairat se kyuuñ tum sūrat-e-dīvār kyā baa.is
main yan baiTha to tum wan uTh gae ai yar kya bais
hue be-dil hi apne aap kyun bezar kya bais
inayat ki nahin agli se ab aasar kya bais
kiye hain band tum ne raKHna-e-diwar kya bais
kaha main ne mere ghar bhi kabhu aaoge ye bole
main kyun aaun mujhe kya wasta kya kar kya bais
niDar la-taqnatu paDh kar gunahon se tha main apne
ye waiz kyun Daraate hain mujhe ghaffar kya bais
tumhaari KHatir-watir mein ai gul-ru ye kya aaya so
mujhe kyun dekh kar hanste ho tum har bar kya bais
faqat ek did ko nadida dil aur dida hai apna
to ai be-did dikhlata nahin didar kya bais
pas-e-murdan meri baalin pe ro kar ye lage kahne
tu kyun chupka paDa hai aashiq-e-bimar kya bais
saKHi se som behtar hai jawab saf jo dewe
kabhi inkar kya maujib kabhi iqrar kya bais
bigaD us aaina-ru se nahin gar aap ka 'ehsan'
bani hairat se kyun tum surat-e-diwar kya bais
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.