main ye din-raat badal Dalungi
maiñ ye din-rāt badal Dālūñgī
apne hālāt badal Dālūñgī
kab talak aas kī suulī pe rahūñ
ab ye jazbāt badal Dālūñgī
dil kī Thokar pe use rakkhūñgī
ġham kī auqāt badal Dālūñgī
us kī sochoñ pe tasarruf hai mirā
so ḳhayālāt badal Dālūñgī
haar se apnī na ho ranjīda
jiit se maat badal Dālūñgī
bin tire jī ke dikhā.uñgī 'sahar'
dard kī zaat badal Dālūñgī
main ye din-raat badal Dalungi
apne haalat badal Dalungi
kab talak aas ki suli pe rahun
ab ye jazbaat badal Dalungi
dil ki Thokar pe use rakkhungi
gham ki auqat badal Dalungi
us ki sochon pe tasarruf hai mera
so KHayalat badal Dalungi
haar se apni na ho ranjida
jit se mat badal Dalungi
bin tere ji ke dikhaungi 'sahar'
dard ki zat badal Dalungi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.