main zinda hun ye mushtahar kijiye
maiñ zinda huuñ ye mushtahar kījiye
mire qātiloñ ko ḳhabar kījiye
zamīñ saḳht hai āsmāñ duur hai
basar ho sake to basar kījiye
sitam ke bahut se haiñ radd-e-amal
zarūrī nahīñ chashm tar kījiye
vahī zulm bār-e-digar hai to phir
vahī jurm bār-e-digar kījiye
qafas toḌnā baad kī baat hai
abhī ḳhvāhish-e-bāl-o-par kījiye
main zinda hun ye mushtahar kijiye
mere qatilon ko KHabar kijiye
zamin saKHt hai aasman dur hai
basar ho sake to basar kijiye
sitam ke bahut se hain radd-e-amal
zaruri nahin chashm tar kijiye
wahi zulm bar-e-digar hai to phir
wahi jurm bar-e-digar kijiye
qafas toDna baad ki baat hai
abhi KHwahish-e-baal-o-par kijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.