majbur-e-iltifat bhi honge jafa ke baad
majbūr-e-iltifāt bhī hoñge jafā ke baad
aatā hai inqalāb agar intihā ke baad
sab ko na.e na.e se ujāloñ kī fikr hai
tahrīk-e-ehtiyāt chalī hai havā ke baad
maazī kā tazkira hai na ab fikr-e-hāl hai
bedār ho gayā huuñ maiñ kis kī sadā ke baad
paate haiñ lā-shu.ūr meñ ham qalb-e-māhiyat
ehsās kuchh latīf hai itnā sazā ke baad
dushvār us pe ho ga.ī kuchh aur dastaras
jab tajziya kiyā hai asar kā duā ke baad
vo din ga.e ki ḳhāk-nashīnoñ ke dost the
ab to samajh rahe haiñ vo ḳhud ko ḳhudā ke baad
tauhīn-e-ārzū hai jahān-e-shu.ūr meñ
tark-e-vafā kā vahm bhī azm-e-vafā ke baad
jiine kī ik umiid to paidā huī 'nazar'
dil mutma.in hameñ nazar aayā jafā ke baad
majbur-e-iltifat bhi honge jafa ke baad
aata hai inqalab agar intiha ke baad
sab ko nae nae se ujalon ki fikr hai
tahrik-e-ehtiyat chali hai hawa ke baad
mazi ka tazkira hai na ab fikr-e-haal hai
bedar ho gaya hun main kis ki sada ke baad
pate hain la-shuur mein hum qalb-e-mahiyat
ehsas kuchh latif hai itna saza ke baad
dushwar us pe ho gai kuchh aur dastaras
jab tajziya kiya hai asar ka dua ke baad
wo din gae ki KHak-nashinon ke dost the
ab to samajh rahe hain wo KHud ko KHuda ke baad
tauhin-e-arzu hai jahan-e-shuur mein
tark-e-wafa ka wahm bhi azm-e-wafa ke baad
jine ki ek umid to paida hui 'nazar'
dil mutmain hamein nazar aaya jafa ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.