majbur hun aah kar raha hun
majbūr huuñ aah kar rahā huuñ
nādim huuñ gunāh kar rahā huuñ
phūloñ kī talāsh hai nazar ko
kāñToñ pe nigāh kar rahā huuñ
ai barq Thahar ki apnā gulshan
maiñ ḳhud hī tabāh kar rahā huuñ
bas ek tirī ḳhushī kī ḳhātir
har ġham se nibāh kar rahā huuñ
us kī nazar apnī samt pā kar
har samt nigāh kar rahā huuñ
manzil kā to kuchh patā nahīñ hai
sajde sar-e-rāh kar rahā huuñ
kis chiiz kī justujū hai 'dānish'
har shai pe nigāh kar rahā huuñ
majbur hun aah kar raha hun
nadim hun gunah kar raha hun
phulon ki talash hai nazar ko
kanTon pe nigah kar raha hun
ai barq Thahar ki apna gulshan
main KHud hi tabah kar raha hun
bas ek teri KHushi ki KHatir
har gham se nibah kar raha hun
us ki nazar apni samt pa kar
har samt nigah kar raha hun
manzil ka to kuchh pata nahin hai
sajde sar-e-rah kar raha hun
kis chiz ki justuju hai 'danish'
har shai pe nigah kar raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.