majmua-e-KHayal pareshan kiye hue
majmua-e-KHayal pareshan kiye hue
Salahuddin Faiq Burhanpuri
MORE BYSalahuddin Faiq Burhanpuri
majmūa-e-ḳhayāl pareshāñ kiye hue
baiThā huuñ phir junūñ ko maiñ mehmāñ kiye hue
maiñ likh rahā huuñ sharh-e-hayāt-e-alam-nasīb
qatrāt ḳhūn-e-dil sar-e-unvāñ kiye hue
detā huuñ phir ḳhayāl ko maiñ dāvat-e-junūñ
zarroñ ko apne dil ke bayābāñ kiye hue
vahshat ba-qaid-e-ishq nahīñ muddateñ huiiñ
phirtā huuñ yūñhī chaak garebāñ kiye hue
ai āftāb-e-hashr zarā ik nazar idhar
laayā huuñ dil ke daaġh numāyāñ kiye hue
allāh kā shukr hai ki khaḌā hai koī qarīb
mushkil ko vaqt-e-naz.a kī āsāñ kiye hue
kyoñ ahl-e-hashr koī bhī kuchh pūchhtā nahīñ
phirte haiñ tar lahū meñ vo dāmāñ kiye hue
majmua-e-KHayal pareshan kiye hue
baiTha hun phir junun ko main mehman kiye hue
main likh raha hun sharh-e-hayat-e-alam-nasib
qatraat KHun-e-dil sar-e-unwan kiye hue
deta hun phir KHayal ko main dawat-e-junun
zarron ko apne dil ke bayaban kiye hue
wahshat ba-qaid-e-ishq nahin muddaten huin
phirta hun yunhi chaak gareban kiye hue
ai aaftab-e-hashr zara ek nazar idhar
laya hun dil ke dagh numayan kiye hue
allah ka shukr hai ki khaDa hai koi qarib
mushkil ko waqt-e-naza ki aasan kiye hue
kyon ahl-e-hashr koi bhi kuchh puchhta nahin
phirte hain tar lahu mein wo daman kiye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.