majnun ko apni laila ka mahmil aziz hai
majnūñ ko apnī lailā kā mahmil aziiz hai
tū dil meñ hai hamāre hameñ dil aziiz hai
abrū-o-chashm-o-zulf mizha kī to kahiye kyā
ham ko to tere muñh se tirā til aziiz hai
dil ko kiyā jo qatl to us ne bhalā kiyā
mujh ko to apne dil se vo qātil aziiz hai
itnā nahīñ koī ki pakaḌ āstīñ mirī
us se kahe ki tujh pe ye maa.il aziiz hai
jā baiThte haiñ chhup ke kabhī ham bhī us jagah
is vāste hameñ tirī mahfil aziiz hai
ik naqsh de ki jis se musaḳhḳhar ho vo parī
aisā bhī dosto koī aamil aziiz hai
kyūñkar karūñ na is dil-e-majrūh kā ilaaj
muddat kā hai rafīq ye ghāyal aziiz hai
ne huur na parī hai na vo māh-mushtarī
ik nuur hai ki sab ko vo hāsil aziiz hai
hijrāñ meñ intizār bhī hai us kā muġhtanim
jo Dūbtā ho us ko to sāhil aziiz hai
ān-o-adā meñ Thor hī rakhtā hai ḳhalq ko
apne to fan meñ ek vo kāmil aziiz hai
kyūñkar na chāhe us ko har ik jaan kī tarah
ḳhvāhish meñ us kī sab haiñ vo har dil aziiz hai
hir-phir ke tere kūche meñ karte haiñ ham maqām
ham se musāfiroñ ko ye manzil aziiz hai
sohbat se koī kyūñki 'hasan' ke na hove ḳhush
shā.ir hai yār-bāsh hai qābil aziiz hai
majnun ko apni laila ka mahmil aziz hai
tu dil mein hai hamare hamein dil aziz hai
abru-o-chashm-o-zulf mizha ki to kahiye kya
hum ko to tere munh se tera til aziz hai
dil ko kiya jo qatl to us ne bhala kiya
mujh ko to apne dil se wo qatil aziz hai
itna nahin koi ki pakaD aastin meri
us se kahe ki tujh pe ye mail aziz hai
ja baiThte hain chhup ke kabhi hum bhi us jagah
is waste hamein teri mahfil aziz hai
ek naqsh de ki jis se musaKHKHar ho wo pari
aisa bhi dosto koi aamil aziz hai
kyunkar karun na is dil-e-majruh ka ilaj
muddat ka hai rafiq ye ghayal aziz hai
ne hur na pari hai na wo mah-mushtari
ek nur hai ki sab ko wo hasil aziz hai
hijran mein intizar bhi hai us ka mughtanim
jo Dubta ho us ko to sahil aziz hai
aan-o-ada mein Thor hi rakhta hai KHalq ko
apne to fan mein ek wo kaamil aziz hai
kyunkar na chahe us ko har ek jaan ki tarah
KHwahish mein us ki sab hain wo har dil aziz hai
hir-phir ke tere kuche mein karte hain hum maqam
hum se musafiron ko ye manzil aziz hai
sohbat se koi kyunki 'hasan' ke na howe KHush
shair hai yar-bash hai qabil aziz hai
- Deewan-e-Meer Hasan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.