makan becha nahin maine guzara chal raha hai
makāñ bechā nahīñ maiñ ne guzārā chal rahā hai
nadī apnī jagah par hai kinārā chal rahā hai
ibādat meñ abhī mashġhūl haiñ in ko na chheḌo
vafā kis se kareñge istiḳhāra chal rahā hai
maiñ ḳhud parvāz se apnī pareshāñ āj-kal huuñ
zamāna hai zamīñ par aur bichāra chal rahā hai
na samjhāo mujhe yuuñ hiir aur rāñjhe kā chakkar
vahī hai naañ jo barsoñ se hamārā chal rahā hai
abhī kuchh der pahle jis ko raazī kar liyā thā
'naved' us se mirā jhagḌā dobāra chal rahā hai
makan becha nahin main ne guzara chal raha hai
nadi apni jagah par hai kinara chal raha hai
ibaadat mein abhi mashghul hain in ko na chheDo
wafa kis se karenge istiKHara chal raha hai
main KHud parwaz se apni pareshan aaj-kal hun
zamana hai zamin par aur bichaara chal raha hai
na samjhao mujhe yun hir aur ranjhe ka chakkar
wahi hai nan jo barson se hamara chal raha hai
abhi kuchh der pahle jis ko raazi kar liya tha
'nawed' us se mera jhagDa dobara chal raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.