makan chhoD kar la-makan dekhte hain
makāñ chhoḌ kar lā-makāñ dekhte haiñ
kahāñ vo haiñ aur ham kahāñ dekhte haiñ
ta.ayyun kā har āstāñ dekhte haiñ
jahāñ tum nahīñ ham vahāñ dekhte haiñ
uThā lete haiñ ham bhī do-chār tinke
jo bante koī āshiyāñ dekhte haiñ
qafas meñ asīroñ pe girtī hai bijlī
chaman se jo uThte dhuāñ dekhte haiñ
nahīñ dekhte kuchh magar ahl-e-mahshar
mujhe yā mirī dāstāñ dekhte haiñ
haqīqat meñ dair-o-haram ek haiñ jab
tujhe donoñ ke darmiyāñ dekhte haiñ
ye aaheñ haiñ merī ye naale haiñ mere
jinheñ āsmāñ āsmāñ dekhte haiñ
dar-e-yār hai phir dar-e-yār 'afqar'
jināñ ko ba-hadd-e-jināñ dekhte haiñ
makan chhoD kar la-makan dekhte hain
kahan wo hain aur hum kahan dekhte hain
tayyun ka har aastan dekhte hain
jahan tum nahin hum wahan dekhte hain
uTha lete hain hum bhi do-chaar tinke
jo bante koi aashiyan dekhte hain
qafas mein asiron pe girti hai bijli
chaman se jo uThte dhuan dekhte hain
nahin dekhte kuchh magar ahl-e-mahshar
mujhe ya meri dastan dekhte hain
haqiqat mein dair-o-haram ek hain jab
tujhe donon ke darmiyan dekhte hain
ye aahen hain meri ye nale hain mere
jinhen aasman aasman dekhte hain
dar-e-yar hai phir dar-e-yar 'afqar'
jinan ko ba-hadd-e-jinan dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.