Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

makan se dur kahin la-makan se hota hai

Asim Wasti

makan se dur kahin la-makan se hota hai

Asim Wasti

MORE BYAsim Wasti

    makāñ se duur kahīñ lā-makāñ se hotā hai

    safar shurū yaqīñ gumāñ se hotā hai

    vahīñ kahīñ nazar aatā hai aap chehra

    tulū chāñd falak par jahāñ se hotā hai

    ham apne baaġh ke phūloñ ko noch Dālte haiñ

    jab iḳhtilāf koī bāġhbāñ se hotā hai

    mujhe ḳhabar nahīñ thī ki ishq āġhāz

    ab ibtidā se nahīñ darmiyāñ se hotā hai

    uruuj par hai chaman meñ bahār mausam

    safar shurū ḳhizāñ yahāñ se hotā hai

    zavāl-e-mausam-e-ḳhush-rañg gila 'āsim'

    zamīn se to nahīñ āsmāñ se hotā hai

    makan se dur kahin la-makan se hota hai

    safar shuru yaqin ka guman se hota hai

    wahin kahin nazar aata hai aap ka chehra

    tulu chand falak par jahan se hota hai

    hum apne bagh ke phulon ko noch Dalte hain

    jab iKHtilaf koi baghban se hota hai

    mujhe KHabar hi nahin thi ki ishq ka aaghaz

    ab ibtida se nahin darmiyan se hota hai

    uruj par hai chaman mein bahaar ka mausam

    safar shuru KHizan ka yahan se hota hai

    zawal-e-mausam-e-KHush-rang ka gila 'asim'

    zamin se to nahin aasman se hota hai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    makan se dur kahin la-makan se hota hai Nomaan Shauque

    Source :
    • Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 31)
    • Author : Asim Wasti
    • Publication : Rekhta Publications (2020)
    • Edition : 2nd
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now