makan se la-makan hote hue bhi
makāñ se lā-makāñ hote hue bhī
kahāñ ham haiñ kahāñ hote hue bhī
bahut kuchh ab bhī baaqī hai zamīñ par
bahut kuchh rā.egāñ hote hue bhī
sire se ham hī ġhā.eb ho ga.e haiñ
sabhī ke darmiyāñ hote hue bhī
bhañvar kī samt baḌhtī jā rahī hai
ye kashtī bādbāñ hote hue
bahut hī muḳhtasar hote ga.e haiñ
mukammal dāstāñ hote hue bhī
bahut ghāTe meñ hai urdu zabāñ kyoñ
mohabbat kī zabāñ hote hue bhī
makan se la-makan hote hue bhi
kahan hum hain kahan hote hue bhi
bahut kuchh ab bhi baqi hai zamin par
bahut kuchh raegan hote hue bhi
sire se hum hi ghaeb ho gae hain
sabhi ke darmiyan hote hue bhi
bhanwar ki samt baDhti ja rahi hai
ye kashti baadban hote hue
bahut hi muKHtasar hote gae hain
mukammal dastan hote hue bhi
bahut ghaTe mein hai urdu zaban kyon
mohabbat ki zaban hote hue bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.