makan se lipTi sisakti hui sada kya hai
makāñ se lipTī sisaktī huī sadā kyā hai
galī galī meñ hai jo in dinoñ balā kyā hai
har ek shaḳhs hai apnā alam uThā.e hue
koī batātā nahīñ āḳhirash huā kyā hai
bas ik ravish pe jiye jā rahe haiñ barsoñ se
yahī hai sach to batāo ki irtiqā kyā hai
koī bhī chehra yahāñ be-shikan nahīñ lagtā
koī bhī kahtā nahīñ aaj ye huā kyā hai
durust baat thī ham iḳhtilāf kyā karte
muvāfaqat kī bhī itnī baḌī sazā kyā hai
ajiib bahr hai mujh se hī pūchhtā hai 'asar'
kisī bhī mauj ko chehra koī milā kyā hai
makan se lipTi sisakti hui sada kya hai
gali gali mein hai jo in dinon bala kya hai
har ek shaKHs hai apna alam uThae hue
koi batata nahin aaKHirash hua kya hai
bas ek rawish pe jiye ja rahe hain barson se
yahi hai sach to batao ki irtiqa kya hai
koi bhi chehra yahan be-shikan nahin lagta
koi bhi kahta nahin aaj ye hua kya hai
durust baat thi hum iKHtilaf kya karte
muwafaqat ki bhi itni baDi saza kya hai
ajib bahr hai mujh se hi puchhta hai 'asar'
kisi bhi mauj ko chehra koi mila kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.