makDiyon ne waqt ki kar diya kamal sa
makḌiyoñ ne vaqt kī kar diyā kamāl sā
mere gird bun diyā uljhanoñ kā jaal sā
is na.ī sadī kā ye kār-nāma ḳhuub hai
sukh kā ek lamha hai dukh ke ek saal sā
piiTh par ladā huā mas.aloñ kā bojh hai
ban gayā hai aadmī āj-kal hamāl sā
dostī ke vaar se TukḌe TukḌe ho gayā
dil hamāre siine meñ thā kabhī jo Dhaal sā
fikr-o-fan kī tishnagī kis tarah bujhā.ūñ maiñ
bastī-e-ḳhayāl meñ lafzoñ kā hai kaal sā
mausam-e-bahār hai par abhī khilā nahīñ
'gulshan'-e-hayāt meñ phuul be-misāl sā
makDiyon ne waqt ki kar diya kamal sa
mere gird bun diya uljhanon ka jal sa
is nai sadi ka ye kar-nama KHub hai
sukh ka ek lamha hai dukh ke ek sal sa
piTh par lada hua masalon ka bojh hai
ban gaya hai aadmi aaj-kal hamal sa
dosti ke war se TukDe TukDe ho gaya
dil hamare sine mein tha kabhi jo Dhaal sa
fikr-o-fan ki tishnagi kis tarah bujhaun main
basti-e-KHayal mein lafzon ka hai kal sa
mausam-e-bahaar hai par abhi khila nahin
'gulshan'-e-hayat mein phul be-misal sa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.