makin chhoD gae KHwab ain raat ke bich
makīn chhoḌ ga.e ḳhvāb 'ain raat ke biich
ki jaise dukh nikal aayā ho merī baat ke biich
maiñ jis se haath milātā huuñ phir nahīñ miltā
na jaane kaun sā rasta hai mere haath ke biich
vo aaj aa.ī to maiñ duur se hī jaan gayā
maiñ jis ko DhūñDhtā rahtā thā phūl-pāt ke biich
isī sabab se to masraf khulā thā kānoñ kā
vo ek phone jo aatā thā chhe aur saat ke biich
hamāre dil ko ba-har-hāl sarsarī na samajh
zarā zarā sī to dhaḌkan hai ab bhī dhaat ke biich
ham is se pahle saf-e-dushmanāñ meñ rahte the
phir ek phuul khil aayā thā 'ain ghaat ke biich
makin chhoD gae KHwab 'ain raat ke bich
ki jaise dukh nikal aaya ho meri baat ke bich
main jis se hath milata hun phir nahin milta
na jaane kaun sa rasta hai mere hath ke bich
wo aaj aai to main dur se hi jaan gaya
main jis ko DhunDhta rahta tha phul-pat ke bich
isi sabab se to masraf khula tha kanon ka
wo ek phone jo aata tha chhe aur sat ke bich
hamare dil ko ba-har-haal sarsari na samajh
zara zara si to dhaDkan hai ab bhi dhat ke bich
hum is se pahle saf-e-dushmanan mein rahte the
phir ek phul khil aaya tha 'ain ghat ke bich
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.