makin hun aur hudud-e-makan nahin malum
makīñ huuñ aur hudūd-e-makāñ nahīñ ma.alūm
sunāne baiTh gayā dāstāñ nahīñ ma.alūm
dil-e-hazīñ ko karam kī umiid karne de
abhī use tirī majbūriyāñ nahīñ ma.alūm
guzar rahī hai bas ik soz-o-karb paiham meñ
kahāñ jalā thā mirā āshiyāñ nahīñ ma.alūm
sukūñ se muntazir-e-imtiyāz hai ab tak
mirī jabīñ ko tirā āstāñ nahīñ ma.alūm
kisī ko un kā pata kyā batā.eñ ai 'ālī'
hameñ to aap hī apnā nishāñ nahīñ ma.alūm
makin hun aur hudud-e-makan nahin malum
sunane baiTh gaya dastan nahin malum
dil-e-hazin ko karam ki umid karne de
abhi use teri majburiyan nahin malum
guzar rahi hai bas ek soz-o-karb paiham mein
kahan jala tha mera aashiyan nahin malum
sukun se muntazir-e-imtiyaz hai ab tak
meri jabin ko tera aastan nahin malum
kisi ko un ka pata kya bataen ai 'ali'
hamein to aap hi apna nishan nahin malum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.