malahat jawani tabassum ishaara
malāhat javānī tabassum ishārā
inhīñ kāfiroñ ne to shā.er ko maarā
mohabbat bhī zālim ajab bebasī hai
na vo hī hamāre na dil hī hamārā
maiñ tinkoñ kā dāman pakaḌtā nahīñ huuñ
mohabbat meñ Duubā to kaisā sahārā
mujhe sat.h-e-ġham par abhī tairne do
maiñ Duubā to Duubā taġhazzul kā taarā
jo bismil banā de vo qātil tabassum
jo qātil banā de vo dilkash nazārā
mohabbat kā bhī khel nāzuk hai kitnā
nazar mil ga.ī aap jiite maiñ haarā
tumhārī umañgoñ kā kyā pūchhnā hai
bahāreñ tumhārī gulistāñ tumhārā
tumhārā 'nushūr' aur tumhārā taḳhayyul
mohabbat tumhārī to shā.er tumhārā
malahat jawani tabassum ishaara
inhin kafiron ne to shaer ko mara
mohabbat bhi zalim ajab bebasi hai
na wo hi hamare na dil hi hamara
main tinkon ka daman pakaDta nahin hun
mohabbat mein Duba to kaisa sahaara
mujhe sath-e-gham par abhi tairne do
main Duba to Duba taghazzul ka tara
jo bismil bana de wo qatil tabassum
jo qatil bana de wo dilkash nazara
mohabbat ka bhi khel nazuk hai kitna
nazar mil gai aap jite main haara
tumhaari umangon ka kya puchhna hai
bahaaren tumhaari gulistan tumhaara
tumhaara 'nushur' aur tumhaara taKHayyul
mohabbat tumhaari to shaer tumhaara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.