malal-e-dil se ilaj-e-gham-e-zamana kiya
malāl-e-dil se ilāj-e-ġham-e-zamāna kiyā
ziyā-e-mehr se raushan charāġh-e-ḳhāna kiyā
sahar huī to vo aa.e laToñ ko chhaTkāte
zarā ḳhayāl-e-pareshāni-e-sabā na kiyā
hazār shukr ki ham maslahat-shanās na the
ki ham ne jis se kiyā ishq vālehāna kiyā
vo jis ke lutf meñ begānagī bhī shāmil thī
usī ne aaj guzar dil se mahramāna kiyā
vo bazm-e-harf ho yā mahfil-e-samā-e-ḳhayāl
jahāñ bhī vajd kiyā ham ne be-tarāna kiyā
malal-e-dil se ilaj-e-gham-e-zamana kiya
ziya-e-mehr se raushan charagh-e-KHana kiya
sahar hui to wo aae laTon ko chhaTkate
zara KHayal-e-pareshani-e-saba na kiya
hazar shukr ki hum maslahat-shanas na the
ki hum ne jis se kiya ishq walehana kiya
wo jis ke lutf mein beganagi bhi shamil thi
usi ne aaj guzar dil se mahramana kiya
wo bazm-e-harf ho ya mahfil-e-sama-e-KHayal
jahan bhi wajd kiya hum ne be-tarana kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.