malal-o-hasrat-o-bim-o-raja bahut kuchh hai
malāl-o-hasrat-o-bīm-o-rajā bahut kuchh hai
hamāre paas ḳhudā kā diyā bahut kuchh hai
matā-e-ġham meñ abhī tak kamī nahīñ aa.ī
agarche raah meñ apnā luTā bahut kuchh hai
ḳhushī agar na milī zindagī meñ kyā ġham hai
hamāre paas ḳhushī ke sivā bahut kuchh hai
ye aur baat hameñ tum na mil sake lekin
tumhārī bazm se ham ko milā bahut kuchh hai
vo aaj jis se hai ye ḳhātir-e-hazīñ raushan
usī ke sho.aloñ meñ ye dil-jalā bahut kuchh hai
milī na dād-e-suḳhan nā-shanās logoñ se
suḳhan kā apne yahī ik sila bahut kuchh hai
'urūj' vo hī nahīñ kah sake jo kahnā thā
sunā to ye thā ki tum ne kahā bahut kuchh hai
malal-o-hasrat-o-bim-o-raja bahut kuchh hai
hamare pas KHuda ka diya bahut kuchh hai
mata-e-gham mein abhi tak kami nahin aai
agarche rah mein apna luTa bahut kuchh hai
KHushi agar na mili zindagi mein kya gham hai
hamare pas KHushi ke siwa bahut kuchh hai
ye aur baat hamein tum na mil sake lekin
tumhaari bazm se hum ko mila bahut kuchh hai
wo aaj jis se hai ye KHatir-e-hazin raushan
usi ke shoalon mein ye dil-jala bahut kuchh hai
mili na dad-e-suKHan na-shanas logon se
suKHan ka apne yahi ek sila bahut kuchh hai
'uruj' wo hi nahin kah sake jo kahna tha
suna to ye tha ki tum ne kaha bahut kuchh hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.